Scorpio N vs Innova Crysta

Innova ke base model ki keemat, aaj pachis laakh rupiye ke kareeb pahunch chuki hain. Wohi Scorpio N ka mid-range, yane ke N-six, diesel-automatic, usse dhai laakh rupiye sasta hain. Ye dekh kar, Scorpio N, wakai mein lajawaab value-for money paryaay lagti hain. Uske kishte, Innova se paanch hazaar rupay saste padenge. Usmein sunroof milega, Cruise Control bhi milega, aur Innova ki tarah, baar-baar, clutch-gear ragadne ki jhanjhat bhi nahi. Phir aaj bhi log Innova lete kyon hain? Uske liye aap ko brochure mein likhe aakde, aur features ke aage, apni soch badhaani hogi. Shuruwaat karte hain andruni jagah se, jo Innova mein saat bande bithaane ke baad bhi, peeche teen-sau liter ki boot-space milti hain. Wohi Scorpio mein kewal sattar liter, matlab mushkil se do laptop bag rakhne laayak! Iski wajah hain, Toyota ki bemisaal packaging. Scorpio se kewal do inch lambi hone ke bawajood, aur Scoprio se bada engine hone ke bawajood, Toyota ne, Mahindra se bada yaatri kaksh vikasit kiya hain. Itna hi nahi, Innova ki sabse pichli seats bhi Scoprio N se kaafi jyada araamdaayak hain. Aur Toyota ka tikaupan, uski service, Mahindra se kitni behtar hain, uska moolya aap ko, resale market mein samajh ayega, jaha Innova, Scoprio se das laakh rupay jyada resale value dilayegi.