New Harrier vs Safari 2023 Facelift Dimensions Comparison Review

Length: Harrier - 15 feet 1 inch 4605 mm, Safari - 15 feet 4 inch 4668 mm (Difference = 3 inch = 1.1% only!)

Width: Harrier - 6 feet 4 inch = 1922 mm, Safari - 6 feet 4 inch = 1922 mm (Difference = 0%)

Height: Harrier - 5 feet 8 inch = 1718 mm, Safari - 5 feet 11 inch = 1795 mm (Difference = 3 inch = 4.3%)

Dosto Safari aur Harrier ke top-end models ki keemat mein ek-laakh rupay ka fark hain on road dilli. Nateeja ye, ke Harrier khareedoge toh aap ko, Safari-se har mahine dhai hazaar rupay kam iyemaay dena padega, matlab paanch pratishat kam. Mana ke Harrier mein aap ko kewal front seats ventilated milenge aur peeche unventilated bench seats, jubki Safari mein middle row mein captain seats milenge aur wo bhi ventilated. Magar unke liye, agle paanch saal, dhai hazaar rupay extra dena, matlab total ded laakh rupay jyada dena bahutahi badi bewakoofi nahi hogi? Doosra fark ye hain, ke Safari ki lambai, Harrier se teen inch jyada hain, matlab sirf ek pratishat jyada, aur chaudai bilkul ek samaan hain. Oonchai mein Safari Harrier se teen inch jyada hain, jisse headroom mein thoda-sa faayda milta hain. Teesra fark ye hain, ke Safari ka wajan Harrier se ek sau pandhrah kilo bhaari hain. Iske kaaran, Safari ka power to weight ratio, Harrier se battar hain aur usko shunya se sau ki raftaar haasil karne ke liye, tera second se bhi jyada waqt lagta hain, jo badi hi sharmnaakh baat hain. kyonki saat laakh ki Wagon R bhi bara second mein sau ki raftaar haasil kar leti hain. Toh Harrier ka zero to hundred bhi kuch khaas nahi.